hua jata hai rukhsat mah-e-ramzan ya rasulallah Lyrics / हुआ जाता है रुखसत माह-ए-रमज़ां या रसूलल्लाह / in English ~ Hindi ~ Urdu
hua jaata hai rukhsat maah-e-ramzaa.n ya rasulallah hua jaata hai rukhsat maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! raha ab cha.nd gadiyo.n ka ye mehmaa.n ya raulallah ! khushi ki laher daudi har taraf, ramzaan jab aaya hai ab ranjida ranjida musalmaa.n ya rasulallah ! musarrat hi musarrat aur khishi hi thi khushi jis dam nazar aaya hilaal-e-maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! shaha ! ab gham ke maare khoon ke aansu bahaate he.n chalaa tadpaake haaye maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! chalaa ab jald ye ramzaa.n sataees(27) aa gayi taarikh faqat do din ka ab ramzaa.n hai mahemaa.n ya rasulallah ! riyaazat kuchh na ki hamne, ibaadat kuchh na ki hamne rahe bas har gadi mashgul-e-isyaa.n ya rasulallah ! mai.n haaye jee churaata hi raha rab ki ibaadat se guzaara ghaflato.n me.n saara ramzaa.n ya rasulallah ! mai.n sota reh gaya ghaflat ki chaadar taan kar afsos KHudaara meri bakhshish ka ho samaa.n ya rasulallah ! KHuda ke nek bande nekiyo.n me.n lag gaye lekin gunaah karta raha ' attar naadaa.n y...