Ham khak hein 1 2 3
1) Ham Khak hein Aur Khak hi Ma'wa hai Hamra
Khaki To Wo Aadam Jadde Aala hai Hamara
2) Allah hamein Khak kare Apni Talab mein
Ye Khak to Sarkar se tamga hai Hamara
3) Jis Khak pe rakhte the kadam Sayyide Aalam
Us Khak pe Qurban dil Shayda hai Hamara
Mushkil Alfaz
Khak : Mitti ,
Ma'wa : Thikana , Asal Johar ,
Aadam : Abu'al Bashar Aadam (AS) , Sabse pahela Aadmi ,
Jadde Aala : Sabse Upar wala Dada ,
Talab : Chahat ,
Sarkar : Aaqa , wali ,
Tamga : Sanad , medal , Izzat ka nishan ,
Sayyide Aalam : Tamam Jahanon ke Sardar , Hazrat Muhammad (S.A.W) ,
Qurban : Sadqe , Nisar , Nichhawar ,
Dil Shayda ; Dil Diwana .
Mafhoom wa Tashreeh
1) Tamam Insan Aulade Aadam (AS) hein , Aur Aadam (AS) ko mitti se banaya , jo ke sab ke bap aur dada , aur sabki asal hein .
2) Allah Ta'ala se dua hai ke wo hame Apni chahat aur talab mein mitti kar de , ke ham kabhi zaban se gila shikwa na karein , Aur har hal mein uska Shukr ada karte rahe , " Al-hamdulillahi Ala Kulli Hal " ke misdaq ban jayein , Yahi hamara sharf aur hamare liye izzat wa azmat ki sanad hai . Insan Mitti ka putla bhi Apne sar par karamat ka Taaj rakhta hai . Aur khak ho kar bhi us ko izzat se nawaza jata hai , to farishton se aage nikal jata hai , Lekin yahan tak pahunchne ke liye usko bade mushkil marahil se guzarna padta hai , badi dushwar gatiyan tay karni padti hein
3) Jis mitti pe Imamul Ambiya (AS) ke kadam lagte hein , Un galiyon ki to Khuda bhi Qasmein Yad Farmata hai , Aur Ahle Islam ko is par ittefak hai ke , Jis jagah Huzur aaram farma hein , wo jagah Arshe Mualla se bhi afzal wa aa'la hai .
Comments
Post a Comment