Ham khak hein 4
4) Kham ho gayi pusht-e-falak is ta'ne Zameen se
Sun ham pe Madina hai ye rutba hai Hamara
Mushkil Alfaz :
Kham hona : Juk jaana .
Pusht : Kamar ,
Falak : aasman ,
Ta'na : Ta'na Marna , aawaz kasna .
Sun : Gor kar , Khabardar , Aagah hoja .
Mafhoom wa Tashreeh :
Dekhte nahin ho aasman thaka hua kyun hai ? Is liye ki jab isne Apni bulandi pe naaz kiya , to Zameen ne isko kaha , Thaher ja aur gaur se sun , zara dekh to Mere upar Allah ka Mehboob jalwagar hai , bas is ta'ne ko sun kar aasman ki kamar juk gayi , jahan se bhi aasman ko dekho ge uske kinaron ko zameen ki taraf juka hua paoge . Ye Aese hi nahin juk gaya balke zameen ki ye baat sun kar sharm ke mare juk gaya hai .
Hazrat Saiyyedi Ibne Jala'a (RA) farmate hein , ke mein jab Madina sharif hazir hua , to muj par ek do dino ka faka aa gaya , Meine Roza-e-Aqdas pe jakar arz kiya , Aye Allah ke Rasool mein to aap ka mehman hun
Ba Arz karne ki dair thi ke Muje nind aa gayi , Sarkar ka didar bhi ho gaya , aur langar bhi mil gaya , aadhi roti khwab mein khayi , aur aankh khul gayi to aadhi roti bedari ke aalam mein mere hath mein thi .

Comments
Post a Comment