Dhare chalte hein ata ke.....Sharah
Back To Full Naat
Dhare chalte hein ata ke wo hai qadrah tera
Tare khilte hein sakha ke wo hai zarra tera
Mushkil Alfaz :
Dhare : Jama'a Dhar ki , b-ma'na Aabshar , mauj , Dariya , Bulandi se girne wala pani .
Zarra : Barik sa reza jo rozan se Suraj ki shiyaa ke sath dikhai deta hai , Yani Aapki sakhawat aabsharon ka ek katra mojzan dariya ki tarha hai aur Aap ka ata kiya hua ek zarra chamak mein goya sakhawat ke aasman ka sitara hai .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ye She'ar suratul Kausar ki jiti jagti Tafseer hai , Jisko dusri jagah Ala Hazrat Azimul barkat (rh) ne yun bayan farmaya hai .
Inke hath mein har kunji hai
Malik-e-Kull kehlate ye hein
Inna Aa'tayna kal Kausar
Sari Kasrat pate ye hein
Rabb hai mutaee ye hein Kasim
Rizq uska hai khilate ye hein
Comments
Post a Comment