Tere Qadmon mein jo hai.....Sharah
Back To Full Naat
Tere Qadmon mein jo hai ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazron pe chade dekh ke Talwa Tera
Mushkil Alfaz ke Ma'ani :
Qadmon mein hona : Sohbat wa khidmat mein rehna .
Ghair ka munh dekhna : Aapke gulamon ki shane istigna bayan ki gayee .
Nazron par chadna : Pasand aa jaan .
Chadeh : Saje , jache .
Talwa : Paaon ke niche ka hissa , ya panja aur edi ki darmiyani jagah .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (S.A.W) ! Jo khush naseeb Aapki bargah ka labgar khane wale hein , wo to duniya ke badshahon ko bhi khatir mein nahin late , inko dekhna pasand nahin karte , Kyunke jisne aapka Qadam Mubarak dekh liya bhala wo fir kisi haseen se haseen ka purkash chehra dekhna bhi kab kubul karega ?
Unka mangta paaon se thukra de wo duniya ka Taaj
Jis ki khatir mar gaye man'am ragad kar ediyan
Allah Ta'ala ne Apne Habeeb (AS) ko esi ba-barkat sifat ata farmayi ke jo shakhs ek baar aapki gulami mein aa jata Aapki bargah se usko wo pyar milta ke wo Maa ki Mamta aur Baap ki shafakkat ko bhi bhook jaata .
Kutub-e-Ahadis mein is kism ke be-shumar wakiyat mein se Hazrat Zaid bin Harisa (rd) ka wajad aafrin wakiya is ke subut ke liye kafi hai . jinhone khule lafzon mein apne chacha aur baap ko farma diya ke
Ab Meri nigahon mein janchta nahin koi
Jaise Mere Sarkar hein Aesa nahin koi
Irshad-e-Bari Ta'ala : Sura Aale Imran Aayat 159
Ae Mere Mehbob ! Ye Tere Rabb Kareem ki Rehmat hi to hai ke Aap ko usne naram dil banaya hai , Aur agar Aap sakht dil hote to ye Aap se door bhagte .
Nizame kuhan ko kiya paara paara
Ye ladte kabail ko kis ne bataya
Teri zaat wala namoo Aafari(n) hai
Muhabbat nahin hai to kuchh bhi nahin hai
Comments
Post a Comment