Chor Hakim se ..... Sharah
Back To Full Naat
Chor Hakim se chhupa karte hein yaa(n) uske khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha tera
Mushkil Alfaz :
Chor : Chori karne wala mujrim chor kehlata hai Jiska kam logon ki nazron se chhupna hota hai.
Yaa(n) : Yahan ka makhfaf hai .
Anokha : Nirala .
Mafhoom wa Tashreeh :
Sari duniya mein yahi dastur hai ke chor afsaron aur police walon se chhupne ki koshish mein hote hein , magar bargahe Risalat ka mua'mala iske khilaf hai , Allah Ta'ala mujrimon ko khud apne habib ki bargah mein bhej raha hai .
Allah Ta'ala Irshad Farmata hai : Sura Ambiya , Aayat 64
Jab Apni jaanon pe zulm karlein to (bakhshish ke liye) Teri bargah mein aa jaaein .
(Allah mu'aaf bhi farmaega aur rehmat bhi ata karega) .
Goya mujrimon ko panah bhi milti hai to damane Rehmatullil Aalamin mein milti hai .
Qabar Anwar se aawaz aayi :
Tafseer Qirtabi wa madarik mein hai : Huzur (AS) ki wafat ke teen din baad ek aerabi Masjide nabawi mein aaya , aur jab usko malum hua ke Huzur (AS) ka wisal ho gaya hai to farte jazbat mein qabre anwar par let gaya aur sar mein mitti dal kar Quran-e-Majeed ki mazkura aayat padta aur sath arz karta Ya Rasulallah (S.A.W)!Meine apni jaan pe zulm kiya hai aur Allah ke hukm ko pah ke aapki bargah mein aa gaya hun , take meri bakhshish ho jaaye , Hazrat Ali-e-Murtaza (rd) farmate hein Qabr anwar se aawaz aayi "Ja Teri bakhshish ho gayi".
Huzur (S.A,W) ka irshad hai : Meri shafa'at bade bade paapon ke liye hai .
Aapki ata ke andaz bhi ajeeb hein , ek diwana bees saal (20 years) se bila ijazat Madina paak mein reh raha tha , Ek din najdiyon ne pakad liya aur puchha Tera kafeel kaun hai ? To usne kaha aao mein tumhe apna kafeel bataun , Roza-e-Paak ke paas jake kehta hai ye hai mera kafeel . Unhone pagal samaj kar chhod diya .
Comments
Post a Comment