Dil Abas Khauf se ..... Sharah
Back To Full Naat
Dil Abas Khauf se Patta sa uda jaata hai
Palla halka sahi bhari hai bharosa Tera
Mushkil Alfaz :
Abas : Be-Fayda ,bekar
Kauf : Aane wale halat ki pareshani ,
Patta : Darakhta ka patta ,
Sa : (Harfe Tashbiyyah) Misl , Tarha .
Uda Jaana : Pareshan wa paraganda hona ,
Palla : Tarazu ka ek palda ,
Bharosa : Aasra .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Agarche Mera dil qayamat ke din Aamal tole jaane ke khauf se patte ki tarha ud raha hai (Pareshan ho raha hai) , Magar iska is qadar darna fuzul hai , Kyunki Agarche Mere Aamal ka palla halka hi sahi magar Aapki shafa'at ka aasra to halka nahin hai .
Allah Ta'ala Farmata hai : Surae Duha , Aayat 5
Aap ka Rabb Aap ko itna nawazega ke Aap Razi ho jaenge .
Sarkar (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ka Farmana hai ;
Mein us wakt tak razi na hunga jab tak Mera ek ummati bhi jahannam mein hoga .
Comments
Post a Comment