Faiz hai ya shahe tasneem.....Sharah
Back To Full Naat
Faiz hai ya shahe tasneem nirala tera
Aap pyason ke tajassus mein hai dariya tera
Mushkil Alfaz
Tasneem : Jannat ki nahar jis ka zikr Quraan Majeed mein bhi aaya hai .
Nirala : Anokha .
Tajassus : Talash
Mafhoom wa Tashreeh
Tasneem ka lafz Qaraan paak mein aaya hai ,
Aur uski malooni Tasneem se hai ye wo chashma hai jis se maqarbane bargah peete hein .
Hadees Sharif mein hai Tasneem jannat ki ek naher hai jiski lambai ek mahine ka fasla hai , iska pani dudh se zyada safed , aur shahed se zyada meetha hai , barf se zyada thanda , aur mushk se zyada khushbudar , is ke kinaron par aasman ke sitaron se zyada katore rakhe hue hein , jo sitaron hi ki tarha chamakdar hein . Jo shakhs is naher se ek baar pee lega usko kabhi pyas na lagegi . Aur is ka jaam usko naseeb hoga jo sahaha-e-kiraam (rd) bilkhusus khulfa-e-Rashidin se muhabbat rakhne wala hoga .
To sher ka mafhoom ye hua :
Ae Jannat ki naher Tasneem ke Malik ! Aap ki ata bhi badi nirali hai , ke jis ka samundar be peda kinar khud pyason ko talash karke unko sairab kar raha hai , Yani hota to ye hai ke pyasa pani ko talash karta hai lekin Aapka dariya-e-Faiz pyason ko talash kar kar ke unko nawazta hai .
Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni Meri Aukat nahin
Ye to karam hai Unka warna Mujmein to aesi baat nahin
Comments
Post a Comment