Kis ka Munh takein ..... Sharah
Back To Full Naat
Kis ka Munh takein , kahan jaayein , Kis se kahein
Tere ji qadmon pe mit jaaye ye paala Tera
Mafhoom wa Tashreeh :
Takna : Dekhna , hasrat wa mayusi ke aalam mein kisi ki taraf ummid bhari nigahon se dekhna .
Pala : Parwarish kiya hua .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Aap jaise banda-parwar ko chhod kar kis ki taraf lalchaee huee nigahon se dekhein aur apne dukhde sunane ke liye kis ke dar pe jaaun , kyunke siwaye mayusi ke mujhe kisi se aur kya mil sakta hai ? Aap ka ye nakara gulam jo Aap hi ke tukdon pe pala hua hai , in halat mein Aap ke kadmon mein mar to sakta hai , magar Aap ka dar chhod kar gair ke dar jaaye ye gaddari mujhse nahin ho sakti .
Allah ne khud apne nabi ke gulamon ko apne dukhde sunane ke liye apne mehboob (AS) ke dare akdas ki taraf rehnumai farmaee .
Mujrim bulaye aaye hein "Jaa oo ka" hai gawah
Fir radd ho kya ye shan kareemon ke dar ki hai
Comments
Post a Comment