Meri Takdeer Buri ho to ..... Sharah
Back To Full Naat
Meri Takdeer Buri ho to bhali karde ke hai
Mahwa Asabat ke daftar pe kadoda Tera
Mushkil Alfaz :
Takdeer : Qismat , naseeb .
Bhali : Bahetar , Acchhi .
Mahv : Mita dena
Asabat : sabit karna ,
Dafter : Register , Murad hai Lohe Mehfooz ,
Kadoda : Kabza wa ikhtiyar .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu alayhi Wasallam) ! Meri qismat agar kharab hai , to Aap bigdi banane wale hein , aur Qaza-e-qadar pe aapka qabza hai , meri buri kismat ko acchhi kar dena aapke baayein hath ka kaam hai .
Jaise Allah Dua se takdeer badal deta hai ,"Dua se Takdeer badal jati hai" (Mihskat) , Apne nek bande ki darkhwast pe ata farma deta hai , "Agar Mera Banda Mujse mange to mein zarur deta hun , aur agar mujse panah talab kare to panah bhi deta hun .
Ek hadees sharif mein hai : "Mere kaee bande aese bhi hein , ke jimke baal bikhre aur gubar-alood hote hein , darwaze pe bhi koi nahin khada hone deta , Lekin agar wo Allah ke naam ki kisi baat pe kasam utha lein , to Allah unki kasam ko puri farmata hai ,
Takdeer Mubarram to nahin talti na hi isko talne ki koi nabi ya wali dua karta hai , Agar koi karna chahe to Allah usko rok deta hai , Jaise Ibrahim (AS) ko qaume Loot pe azab ke talne ki dua se roka gaya .
Comments
Post a Comment